BollywoodTarane

    Download Dukh sukh tha ek sabka song

    Jashn Vol one

    Free Dukh sukh tha ek sabka mp3 song

    We presents for now Dukh sukh tha ek sabka mp3 song More details about this is provided below in form of lyrics. If in case the you ar enot able to play the song then you can also able to play the video song.

    derben-clove-bags
    Songs Download Play & Listen
    Featured: Derben Clove
    Sponsored store link
    Save As
    Dukh sukh tha ek sabka
    Artist : Pankaj Udas
    Save As
    Dukh sukh tha ek sabka Song Lyrics
    Song Lyrics Title : Dukh sukh tha ek sabka
    Song Lyrics Movie : Jashn - Vol 1
    Singer : Pankaj Udas

    mp3 songs

    Dukh sukh tha ek sabka
    Apna ho ya begaana
    Ek woh bhi tha zamaana
    Ek yeh bhi hai zamaana
    Dukh sukh tha ek sabka
    Apna ho ya begaana
    Ek woh bhi tha zamaana
    Ek yeh bhi hai zamaana

    Dada hai aate the jab
    Mitti ka ek ghar tha
    Choron ka koi Khatka
    Na dakuon ka dar tha
    Khaate the rookhi sookhi
    Sote the neend gehri
    Shaamein bhari bhari thi
    Aabaad thi dupehri
    Santosh tha dilon ko
    Maathe pe bal nahi tha
    Dil mein kapat nahi tha
    Aankhon mein chhal nahi tha
    Thay log bhole bhale
    Lekin the pyaar wale
    Duniya se kitni jaldi
    Sab ho gaye ravana
    Dukh sukh tha ek sabka
    Apna ho ya begaana
    Ek woh bhi tha zamaana
    Ek yeh bhi hai zamaana

    Abba ka waqt aaya
    Taaleem ghar mein aayi
    Abba ka waqt aaya
    Taleem ghar mein aayi
    Taleem saath apni
    Taaza vichaar laayi
    Aage rawayaton se
    Badne ka dhyaan aaya
    Mitti ka ghar hata to
    Pakka makaan aaya
    Daftar ki naukri thi
    Tankaha tha sahara
    Maalik pe tha bharosa
    Ho jaata tha guzara
    Paisa agar che kam tha
    Phir bhi na koi gham tha
    Kaisa bhara pura tha
    Apna gareeb khana
    Dukh sukh tha ek sabka
    Apna ho ya begaana
    Ek woh bhi tha zamaana
    Ek yeh bhi hai zamaana

    Ab mera daur hai yeh
    Koyi nahi kisi ka
    Ab mera daur hai yeh
    Koyi nahi kisi ka
    Har aadmi akela
    Har chehra ajnabee sa
    Aansoon na muskuraahat
    Jeevan ka haal aisa
    Apni khabar nahi hai
    Maya ka jaal aisa
    Paisa hai martaba hai
    Izzat waqar bhi hai
    Naukar hain aur chaakar
    Bangla hai car bhi hai
    Sar paas hai zameen hai
    Lekin sakoon nahi hai
    Paane ke vaaste kuch
    Kya kya pada gavaana
    Dukh sukh tha ek sabka
    Apna ho ya begaana
    Ek woh bhi tha zamaana
    Ek yeh bhi hai zamaana

    Aye aane wali naslon
    Aye aane wale logon
    Aye aane wali naslon
    Aye aane wale logon
    Bhoga hai humne jo kuch
    Woh tum kabhi na bhogo
    Jo dukh tha saath apne
    Tumse kareeb na ho
    Peeda jo humne jheli
    Tumko naseeb na ho
    Jis tarah bheed mein hum
    Zinda rahe akele
    Woh zindagi ki mehfil
    Tumse na koyi le le
    Tum jis taraf se guzro
    Mela ho roshni ka
    Raas aaye tumko mausam
    Ekkiswi sadi ka
    Hum to sukoon ko tarse
    Tum par sukoon barse
    Anand ho dilon mein
    Jeevan lage suhaana

    Dukh sukh tha ek sabka
    Apna ho ya begaana
    Ek woh bhi tha zamaana
    Ek yeh bhi hai zamaana
    Dukh sukh tha ek sabka
    Apna ho ya begaana
    Ek woh bhi tha zamaana
    Ek yeh bhi hai zamaana
    Ek woh bhi tha zamaana
    Ek yeh bhi hai zamaana
    Ek woh bhi tha zamaana
    Ek yeh bhi hai zamaana
    derben-clove-plain-tshirt

    derben-clove-bags

    derben-clove-bags

    Recent Tags : Download Dukh sukh tha ek sabka mp3 song, Dukh sukh tha ek sabka lyrics, Dukh sukh tha ek sabka Lyrics, Lyrics Dukh sukh tha ek sabka, Dukh sukh tha ek sabka hindi lyrics, Dukh sukh tha ek sabka hindi movie songs, Dukh sukh tha ek sabka bollywood songs, Dukh sukh tha ek sabka bollywood songs lyrics Download Dukh sukh tha ek sabka mp3 song