BollywoodTarane

    Download Ram Ki Baaten song

    Hifaazat 1987

    Free Ram Ki Baaten mp3 song

    We presents for now Ram Ki Baaten mp3 song More details about this is provided below in form of lyrics. If in case the you ar enot able to play the song then you can also able to play the video song.

    derben-clove-bags
    Songs Download Play & Listen
    Featured: Derben Clove
    Sponsored store link
    Save As
    Ram Ki Baaten
    Artist : Mohammad Aziz
    Save As
    Ram Ki Baaten Song Lyrics
    Song Lyrics Title = Ram Ki Baaten
    Song Lyrics Movie = Hifazat  (1987)
    Singer = Anuradha Paudwal, Mohammed Aziz
    Lyricist = Majrooh Sultanpuri
    Music Director = R D Burman
    Film Director = Prayag Raj
    Film Producer = A Suryanarayana
    Film cast = Anil Kapoor, Madhuri Dixit, Nutan, Pran, Gulshan Grover,
    Ashok Kumar, Shakti Kapoor


    mp3 songs


    ho jako rakhe saiya mar sake na koye
    o jake rakhe saiya mar sake na koye
    bal na banka kar sake jo jag bairi hoye
    kah gaye bhaiya
    kah gaye bhaiya log sayane
    ram ki bate ram hi jane
    kah gaye bhaiya log sayane
    ram ki bate ram hi jane
    ram ka naam lo isi bahane
    ram ki bate ram hi jane
    kah gaye bhaiya log sayane
    ram ki bate ram hi jane

    kaho to baiya suno to baiya
    lambi badi kahani hai
    lambi badi kahani hai
    jivan kya hai kuch bhi nahi hai
    bas nadiya ka pani hai
    bas nadiya ka pani hai
    aaj yaha,
    aaj yaha kal kaha thikane
    ram ki bate ram hi jane
    kah gaye bhaiya log sayane
    ram ki bate ram hi jane

    ek ram dashrath ka beta
    ek ram sabka sawami
    ek ram sabka sawami 
    ek ram bilkul anjana
    ek ram antaryami
    ek ram antaryami
    ram ke kitne,
    ram ke kitne naam na jane
    ram ki bate ram hi jane
    kah gaye bhaiya log sayane
    ram ki bate ram hi jane

    o ho sawan bhado do hi mahina
    barse re barsat chodah baras tak
    ek ma ki ankhiya barsi din rat
    ram gaye to mat puchho
    koshalaya ka kya hal huya
    ram gaye to mat puchho
    koshalaya ka kya hal huya
    ram duhai aisi zudai
    ek ek pal ek sal huya
    hoga milan kab ab kon ye jane
    ram ki bate ram hi jane
    kah gaye bhaiya log sayane
    ram ki bate ram hi jane

    bichhade huye ko phir milne
    ka kismat moka deti hai
    bichhade huye ko phir milne
    ka kismat moka deti hai 
    kabhi kabhi ye aankh magar
    is man ko dhokha deti hai
    apne lagte hai begane
    ram ki bate ram hi jane
    kah gaye bhaiya log sayane
    ram ki bate ram hi jane

    ma me aur sauteli ma me
    kitna antar hota hai
    ma me aur sauteli ma me
    kitna antar hota hai
    sauteli ma ke sine me
    dil nahi pathar hota hai
    kaha kekai se koshalaya ne
    ram ki bate ram hi jane
    kah gaye bhaiya log sayane
    ram ki bate ram hi jane

    ram ko jab vanvas mila
    sab log ayodha ke roye
    sab log ayodha ke roye
    phulo ki sez pe sone wale
    van me kanto pe soye
    van me kanto pe soye
    kaha mahal aur kaha virane
    ram ki bate ram hi jane
    kah gaye bhaiya log sayane
    ram ki bate ram hi jane

    bure bhale sare din aakhir
    ek din bit hi jate hai
    bure bhale sare din aakhir
    ek din bit hi jate hai
    chodah baras vanvas kat kar
    ram ayodha aate hai
    diwali ke dip jalane
    ram ki bate ram hi jane
    ram ka naam lo isi bahane
    kah gaye bhaiya log sayane
    ram ki bate ram hi jane
    kah gaye bhaiya log sayane
    ram ki bate ram hi jane...


    Posted By : {Anamika Tyagi}
    derben-clove-plain-tshirt

    derben-clove-bags

    derben-clove-bags

    Recent Tags : Download Ram Ki Baaten mp3 song, Ram Ki Baaten lyrics, Ram Ki Baaten Lyrics, Lyrics Ram Ki Baaten, Ram Ki Baaten hindi lyrics, Ram Ki Baaten hindi movie songs, Ram Ki Baaten bollywood songs, Ram Ki Baaten bollywood songs lyrics Download Ram Ki Baaten mp3 song