BollywoodTarane

    Download Pyar Ke Mod Par song

    Daku Hasina 1986

    Free Pyar Ke Mod Par mp3 song

    We presents for now Pyar Ke Mod Par mp3 song More details about this is provided below in form of lyrics. If in case the you ar enot able to play the song then you can also able to play the video song.

    derben-clove-bags
    Songs Download Play & Listen
    Featured: Derben Clove
    Sponsored store link
    Save As
    Pyar Ke Mod Par
    Artist : XYZ
    Save As
    Pyar Ke Mod Par Song Lyrics
    Song Lyrics Title = Pyar Ke Mod Par
    Song Lyrics Movie = Daku Hasina 1986
    Singer = Parveen Saba, Dilawar Babu   
    Music By = Usha Khanna    
    Lyricist = Anwar, Qaoserul, Shahid


    mp3 songs


    leharaai hui zulfe girahgeer to dekho dil kyun na giraftar ho zanjeer to dekho
    phir shaukse keh lena deewana mujhko logo, pehle mere mehbub ki tasveer to dekho
    tum meri zulfe girahageer ko kyun dekhte ho aur mere paav ke zanjeer ko kyun dekhte ho
    tum to kehte the meri shakl se nafrat hai tumhe, mujhse chhupkar meri tasveer ko kyun dekhte

    ho
    chhurise teerse talvaar se kya honewala hai, hume to in hasino ki nazar ne maar daala hai
    nazar jo uthi to duwa ban gayi, nazar jo jhuki to haya ban gayi, nazar tirchhi ki to ada ban

    gayi
    nazar pher li to kaja ban gayi
    nazar jab uthi meharba ho gayi, nazar jab mili to jawa ho gayi, jo palti to dil ki jaba ho

    gayi
    jo badali to ek daasta ho gayi, nazar se humne nazar ko ek din nazar mila te nazar se dekha 
    nazar jo pahuchi nazar tak unki nazar jhukate nazarse dekha kya baat hai
    dil ek mandir hai tum uski murat ho, kisine sach kaha tum kitni khubsurat ho

    pyar ke mod par mil gaye ho agar, pyar ke mod par mil gaye ho agar aaj milne milane ka waada

    karo
    pyar ke mod par mil gaye ho agar aaj milne milane ka waada karo
    pyar ke mod par mil gaye ho agar aaj milne milane ka waada karo
    wafa hai zehar to ye zehar hum dono ko peena hai, hume ek saath marna hai hume ek saath

    jeena hai
    to pyar ke mod par mil gaye ho agar aaj milne milane ka waada karo
    aa gaye ho to jaane ki zid naa karo, aa gaye ho to jaane ki zid naa karo, ja rahe ho to aane

    ka waada karo
    aa gaye ho to jaane ki zid naa karo, ja rahe ho to aane ka waada karo
    aa gaye ho to jaane ki zid naa karo, ja rahe ho to aane ka waada karo

    tumhara pyar bhi jhutha, tumhari jaat bhi jhuthi, tumhare hoth bhi jhuthe, tumhari baat bhi

    jhuthi
    tumhara har irada har tamanna har gila jhutha, tumhare phool jhoote baag jhutha, aashiya

    jhutha
    wafa jhuthi, zafa jhuthi sitam jhutha karam jhutha, kasam hai sar se lekar paanv tak tu ae

    sanam jhutha
    tumhara naam jhutha tumhara kaam jhutha tumhara maikada jhutha, tumhara jaam bhi jhutha
    tumhari raat jhuthi, chaand jhutha, aasma jhutha
    tumhare asht gam jhuthe tumhara zakhme jaha jhutha, tumse badhke koi aur bemuravat nahi
    pyar karne ki ab hamko phursat nahi, main tumhe yaad karne ki zid chhod du
    main tumhe yaad karne ki zid chhod du, tum mujhe bhul jaane ka waada karo
    main tumhe yaad karne ki zid chhod du, tum mujhe bhul jaane ka waada karo
    main tumhe yaad karne ki zid chhod du, tum mujhe bhul jaane ka waada karo

    chal ye maana mohabbat ka dastur hai, husn ki har ada humko manzur hai
    ada par naaz par har aadmi kurbaan hota hai
    jo achchhi cheez hoti hai , udhar hi dhyan hota hai
    kiya tha waada ke kal ayenge charaag jale, aur tamam raat charaago se dil ke daag jale
    ye dard bhi daulat hai ye daag bhi daulat hai, ye jitne bhi daulat hai sab teri badaulat hai
    barabar khafa ho, barabar manaaye, na tum baaz aao na ham baaz aaye
    kyonki bheegi zulfo ko shanoo par jhatak kar chhod dete hai
    barasnewale baadal apna bhi rukh mod lete hai
    are ye husnwale jab bhi lete hai angdaai, to khudawale bhi barso ki ibaadat chhod dete hai
    kya baat hai
    yaad aa jaau to bhul jaaya karo, apne palko ke moti chhupaya karo
    aasuose to sab raaz khul zayenge,  aur khayanat mohabbat mein ho jaayegi
    mere mehbub tum ho amanat meri, mere mehbub tum ho amanat meri gam mein bhi muskarane ka

    waada karo
    mere mehbub tum ho amanat meri gam mein bhi muskurane ka waada karo
    mere mehbub tum ho amanat meri gam mein bhi muskurane ka waada karo

    nazar jhukao, hasino ka ehtraam karo, hai mera naam jawani mujhe salaam karo
    jo husn chaahe to lag jaaye aag pani mein, aji kisi hasin ko dekha bhi hai zawani mein
    shama ne aag rakhi shama ne aag rakhi sar pe kasam khane ko, bakhuda maine jalaya nahi

    parwane ko
    sare bazar mere husn ka charcha naa karo, pyar sachcha hai to tum mujhe ruswa na karo
    chand uncha hai bahut chaand ka sauda naa karo, durse dekh lo chhune ki tamanna na karo
    kisi aashik se koi vaasta nahi rakhte, hum apne ghar mein koi aaina nahi rakhte
    jitni badnamiya thi wo sab dekh li, chhod do mujhko ab tumse matlab nahi
    meri tasveer ko phadkar phek do ha meri tasveer ko phadkar phek do ha mera har khat jalane

    ka waada karo
    meri tasveer ko phadkar phek do, ha mera har khat jalane ka waada karo

    ishkne mere nagmo ko parwaz di, tum jo ruthe to dilne ye aawaz di
    chuna hai dil ne tujhe itne naazino mein, aur tera jawab nahi shehar ke hasino mein
    jo pura hua meri chahat ka sapna to bana lunga main tujhko mehbub apna
    dekhna hasrate deedar me jal jayenge aur ham patange ki tarah pyar mein jal jayenge
    tum mujhe itni mohabbat se naa dekho varna, are log dekhe inge to bekaar mein zal jayenge
    log dekhe inge to bekaar mein zal jayenge
    jalnewalo ko tera dil naa jalane dunga, aur tujhpe ruswai ki main aanch naa aane dunga
    ye hai mera waada o mera wada, ye hai mera waada o mera waada, ye hai mera waada o mera

    waada
    ye hai mera waada ye hai mera waada ye hai mera waada, waada ho mera waada
    ye hai mera waada o mera waada, ye hai mera waada o mera waada

    kisi din dilbari dekhi, kisi din dilbari dekhi kisi din berukhi dekhi
    aji rehne bhi dijiye bas mohabbat aapki dekhi
    abhi to aap humpe jaan dene ko the aamada, zara si der mein tasveer hi badali hui dekhi
    bahaane khub dhundhe hai hume barbad karne ke, tumhara ishk dekha pyar dekha dosti dekhi
    jitne shikve gile hai mita le abhi, are jo sunana hai ae dil suna le abhi
    in aashiko ka koi bharosa nahi, aaj waada kiya kal mukar jayenge, parso jal jayege
    ja dekha tera waada o tera waada, ja dekha tera waada o tera waada, ja dekha tera waada o

    tera waada
    waada waada waada waada ja dekha tera wada o tera waada, ja dekha tera waada o tera waada
    ja dekha tera waada o tera waada

    saja dunga phulose aangan tumhara aur sitaarose bhar dunga daaman tumhara
    chamakti rahegi kalaai tumhari, khanakta rahega ye kangan tumhara
    dulhan banake tumhe apne ghar mein launga phir uske baad main duniya ko bhul jaaunga
    magar tum bewafa ho, tum kya jaano wafadari
    hum pyar ke pujari tum pyar ke shikari, sab kuchh hai tujhme par pyar hi nahi hai
    aankhe teri kahi hai aur dil tera kahi hai
    kaati thi raat humne ganga kinaare gori, dono ne kasam khakar baandhi thi prem dori
    magar gam teri judaai ka sehna hai sahunga main, aur ye aakhari khat mera ab khat na

    likhunga main
    ye aakhari khat mera ab khat na likhunga main
    is khat mein khun-ae-dil hai, mehandi mein mila lena
    jis roz bano dulhan haatho mein laga lena
    ab iske siva tumko kya aur du nazrana , uththe mera zanja shehnai tum bajana
    tadap uthoge wo nagma jigar se nilkega, mera zanaja tumhare hi ghar se niklega
    ha ye hai mera waada o mera waada, ye hai mera waada o mera waada, ye hai mera waada o mera

    waada
    ye hai mera waada ye hai mera waada ye hai mera waada, waada mera
    waada o mera waada, ye hai mera waada o mera waada
    ye hai mera waada o mera waada

    mere mehbub ne waada kiya hai paanchve din ka, kiya hai waada to koshish bhi karna aane ki
    suna hai aapko aadat hai bhul jaane ki
    abhi sikha nahi hai aapne wada wafa karna, to kya ummid rakhe aapse wada nibhane ki
    aapke lab par aur wafa ki kasam kya kasam khaayi hai khuda ki kasam
    jaban aur dilpe jise apne akhtiyaar nahi, mujhe to uski kasam ka bhi aitbar nahi
    mere mehbub ne wada kiya hai paanchve din ka, are kisise sun liya hoga ke duniya char din ki

    hai
    ja ja ja dekha tera waada o tera waada, ja dekha tera waada o tera waada, ja dekha tera wada

    o tera waada
    waada dekha tera waada o tera waada, ja dekha tera wada o tera waada
    ja dekha tera waada o tera waada...


    Posted by : {Anamika Tyagi}

    derben-clove-plain-tshirt

    derben-clove-bags

    derben-clove-bags

    Recent Tags : Download Pyar Ke Mod Par mp3 song, Pyar Ke Mod Par lyrics, Pyar Ke Mod Par Lyrics, Lyrics Pyar Ke Mod Par, Pyar Ke Mod Par hindi lyrics, Pyar Ke Mod Par hindi movie songs, Pyar Ke Mod Par bollywood songs, Pyar Ke Mod Par bollywood songs lyrics Download Pyar Ke Mod Par mp3 song